top of page
Search

Samay ki Ginti

Khud se darr lagne lagaa hai,

Beetien huye kal ko bhool jaane mein

Aane wala kal bhi beet raha hai


Kis ko bulao, kis se do-chaar baat karo

Koi padosi ki baat pe naraaz hai,

Aur koi khud se rutha hua hai,

Main toh sirf ek tamaasha hoon

Aaj tere liye, kal sab ke liye


Mann udaas nahi bechain sa hai,

Aankhein bhari nahi, pareshaan hai,

Dil dhadakta hai par jeene ke liye nahi

Marna bhi ab ek khwaab hai


Yeh akelapan bhi ek saathi hai

Jis se dosti karleta hai

Toh nibhana bhi jaanta hai,

Insaan bhool jaye par yeh parchhai hai

Andheron mein saaf dikhta hai

Din mein yeh chhup jaata hai


Kabhi kabhi lagta hai ki sab ek brahm hai

Lekin phir yaad aajata hai

Jab gam ke nishaan sab taraf ho

Toh insaan andar se sirf toot jaata hai


Ek darr aur bhi lagta hai,

Kya main paagal toh nahi?

Jo aaj mein rehkar bhi

Samay ko ulta ginta hoon!



1 comment
bottom of page